वक़्त की नज़ाखत(Waqt Ki Nazaakhat)

ज़िन्दगी के कुछ पल ऐसे भी थे
वक़्त की नज़ाखत की दखलअंदाजी करते हुए
बिन बोले फिसल गए

पल पल की गिनती में जब अनगिनत ऐसे पल मिले
तो दिल ने पुछा की भाई मेरे क्या भूल गए
गाडी निकल न जाए


ज़िन्दगी साथ है, साथी भी है हाथ बढ़ाये
ख्यालों में ऐसे न रहो खोए खोए
की ज़िन्दगी भी तुम्हे भूल जाये

तो फिर आयी जवाब, बिन पूछे, दिल के झरोखे से
के साथी साथ है हमारे साथ प्यारे
ऐसे और क्या पल है जिनकी हम कद्र करे?


--------------------------------------------------

Zindagi ke kuch pal aise bhi they
Waqt ki nazakhat ki dakhalandaazi karte hue
Bin bole phisal gaye
 
Pal pal ki ginti mein jab anginat aise pal mile
To dil ne poocha ki bhai mere kya bhool gaye
Gaadi nikal na jaaye
 
Zindagi saath hai, saathi bhi hai haath badaye
Khayalon mein aise na raho khoye khoye
Ki zindagi bhi tumhe bhool jaye
 
To phir aayi jawaab, bin pooche, dil ke jharoke se
Ke saathi saath hai hamare saath pyare
Aise aur kya pal hai jinki hum kadr kare?


-Mani